Root kya hai Andriod Mobile Ko Root Kaise Karte hai- Agar aap search kar rahe hai, Apne mobile ko root kaise kare to aapko iss post me full information milega. Mai aapko computer aur without computer (pc) dono tarika se root karna bataunga. Mobile phone ko root karne se pahle aapko iske bare me full information jaan lena chahiye.
Shyad aapko pata nahi hamlog mobile phone ka 45% featuress ka hi istemaal karte hai. But agar aap apne mobile phone ko root kar le to phone ki sequarity tod kar 100% use kiya ja sakta hai. Mobile ko root karne ke bahut benefits hai lekin kuch loss bhi hai. So mai aapko recomand karunga pahle iske bare me pura acche se jaan le tabhi apne phone ko root kare.
Root Kya Hai
Android Phone ko root karne se aapke phone me kaafi kuch badlav aaenge. Root hone ke baad aap apne phone ko apni tarah se customize kar sakte hain. Aapka phone puri tarah se aapke control me ho jayega. Root ka matlab hi hota hai company ke dwara di gayi sequarity (sima) ko todna. Jaise abhi aapko apne phone ke poori tarah se use nahi karskte aapko terms and condition ke andar rah kar istemal karna parta hai.
But root karne ke bad aapko us sabhi niyamo se chhutkara mil jayega aap apne phone ko apni tarah se istemal kar sakte hain. Rooting ka matlab hai aap apne phone me maujood Android OS ke jagah Custom OS dalte hain. Rooted phone se aap pahle se pre installed application me bhi badlav kar sakte hai. Matlab aap apne phone ko kuch bhi apne hisaab se control kar sakte hai.
Mobile Ko Root Karne Ke Kya Kya Fyade hai
Aapne root kya hai ye to jaan liya hoga. Ab mai aapko Root karne ke benefits (fyada) ke bare me bataunga.
- Root Karne ke baad aap Pre Installed apps matlab company ke dwara diye gaye installed application ko bhi Uninstall kar sakte hai.
- Playstore par bahut sare aise application hai jo bina root access ke use nahi hota, usse bhi use kar payenge.
- Internet data on hone par phone me show hone wale AD advertisment ko bhi block kar sakte hai.
- Rooted phone me Custom ROM bhi install kiya ja sakta hai. Agar aap andriod developers hai khud ROM create karke install kar sakte hai.
- Phone ka internal memory ko 3 guna badhaya ja sakta hai. Aur high quality graphics wale game bhi khel sakte hai.
- Root karne ke baad phone ka battery life badh jati hai. And aapke processor ka speed bhi pahle se fast ho jayega matlab aapka phone heat aur fasega nahi.
- Root karne ke baad aap phone ka version manually upgrade kar sakte hai. Aur aapko wifi password hack karne me kaafi help milegi.
- Andriod mobile IMEI , Andriod ID, Serial Number Change kar sakte hai
Mobile Ko Root Karne Ke Kya Nuksaan Hai
Aapne mobile phone ko root karne ke fyade ke bare me to jaan liya ab iske nuksaan ke bare me bhi jaan ligye. Lekin mai aapko bata du phone ko root karne se nuksaan nahi ke barabar hi hai. But benefit bahut jyada hai.
- Root karne ka sabse bara loss ye hai ki aapke phone ka warranty khatm ho jayega. Isliye mai aapko recomand karunga aap apne ko warranty end hone ke baad hi root kare.
- Company ke dwara official update nahi mil payega. Matlab company apne sabhi phone ke liye hamesa kuch months pe update dete rahta hai. But root karne ke baad aapko manually update karna hoga.
Ab aap root karne ke fyade aur nuksaan ke bare me jaan gaye honge. Ab aapko faisla karna hai phone ko root karna hai ya nahi.
0 comments:
Post a Comment